Tuesday, 9 November 2010

Loot Machi Hai

Bhaiya chunaav mein jeeti ek party, Ban gayi sarkar uski...
Bahut khaaya, bahut piya
Lagta hai phir election aa gaya
Kabhi UP, kabhi Bihar,
Kabhi MP, kabhi Kashmir tak jaate hain
Apna dukh dard bataate hain
'Aap humko vote dijiye'
Ye gaana gaate hain
Looto pehle logon ko,
Phir looto unhi ke vote
Waah bhaiya... waah!
Loot machi hai!
Loot machi hai!

Phir jeeti wo party, phir bani unki sarkar,
Phir khilaaya apno ko, phir khud khoob khaaya... Kya?
Paisa... phir bhi pet nahin bharta
Apni bhookh poori karne ko...
Cheezon ke rate badhaate hain
Sunehre Bharat ki chamak ke peeche
Saara paisa le jaate hain.
Inka yeh chakra chalta hai
Ghuma phira ke inka pahiya
Wahin paise par theherta hai
Bhaiya accha hai...
Khao, piyo, mauj manaao
Loot machi hai!
Loot machi hai!

Par ye gadhe ye kyon nahin sochte,
Aaj jinse le rahe hain
Kal wo bhikhaari banenge
Phir kahaan se paise laaoge?
Kya China, Japan, America tak jaaoge?
Dheere dheere, aaraam se,
Tum bhi bhikhaari nahin ban jaaoge?
Bhool gaye jo tumne padha tha---
'Jaisi Karni, Waisi Bharni'?
Aa jaaoge tum bhi sadak par sabki tarah.
Phir tumhari party ki... izzat lut jaayegi
Aur tab janta chillaayegi- Lut gaye tum bhi, sach mein,
Loot machi hai!
Loot machi hai!

Watan Ke Khuda

Chand paison ke laalach mein,
bhool gaye hain loghat mein
Insaniyat bhi ek lafz hai
Watan bhi ek lafz hai.

Tu dekh zara kabhi humein bhi
tu sun kabhi humari bhi
kuch hain nizam jo acche nahin
log hain aise jo sacche nahin
Aise logon ko kyon watan diya?
Dekh kitna bada tune gunaah kiya!

Ahal-e-jawaani ki taaqat dekh
woh bhi ab aa rahi hai
jo log bane hain watan ke khuda
unko sabak sikha rahi hai
Qaatil hai tu! Mujrim hai tu!
ye baat tujhe bata rahi hai.

Kis soch mein doobe ho yaaron?
ye mulk tumhara bhi hai
tum hi ho iske khuda
Ho tum hi watan ke khuda!
Tum hi ho watan ki taaqat!
Tum hi ho watan ki taaqat!